Skip to main content
A GHAZAL
Jo ghum-e-habeeb se door they, wo khud apni aag mein jul gaye!
Jo ghum-habeeb ko paa gaye, wo ghumon se hans ke nikal gaye!!

Jo thakey-thakey se they hausley, wo shabaab bun ke machal gaye,
Wo nazar, nazar se galey mili, to bujhe chiragh bhi jul gaye!

Yeh shakist-e-deed ki karwatein bhi baRi lateef-o-jameel hain,
Main nazar jhuka ke tadap gaya, wo nazar bacha ke nikal gaye!

Jo sambhal- sambhal ke bahak gaye, wo fareb-khurda-e-rah they,
Wo maqaam-e-ishq ko paa gaye, jo bahak-bahak ke sambhal gaye!

Jo khiley huey hain rawish-rawish, wo hazaar husn-e-chaman sahi,
Magar un gulon ka jawaab kya, jo qadam-qadam pe kuchal gaye!!

Na hai shayar ab ghum-e-nau-ba-nau, na wo daagh-e-dil, na wo aarzoo,
Jinhein aitmaad-e-bahar tha, wahi phool rang badal gaye!!! 


(This Ghazal was written by 'Shaaz' Naqvi. Mehdi Hassan has sung it in his enchanting voice. It is yet another ghazal from the repertoire of My Favourite Urdu Poetry. It had a mesmerizing  effect on me when I first listened   to it. Its beautiful words are full of philosophical and spiritual thoughts!!!!!!)

Comments

Popular posts from this blog

वो जो गीत तुमने सुना नहीं

वो जो गीत तुमने सुना नहीं मेरी उम्र भर का रियाज़ था ! मेरे दर्द कि थी वो दास्ताँ जिसे तुम हँसी में उड़ा गए ! मेरी उम्र से न सिमट सके मेरे दिल में इतने सवाल थे ! तेरे पास जितने जवाब थे तेरी एक निगाह में आ गए ! -- Anonymous  

दुआ ( A PRAYER)

मेरे अल्लाह मुझ को कामयाब -ओ -कामरां (successful) कर दे ! मैं मुश्त -ए-ख़ाक (a handful of dust) हूँ मालिक , तू मुझको आसमां कर दे !! गुनाहों और खताओं को हमारी माफ़ फरमा कर भलाई और नेकी से मुज़य्यन (adorn ) जिस्म -ओ - जाँ कर दे ! मैं अपने दस्त -ओ -बाज़ू (hands and arms) से दिखा दूँ कुछ नया कर के मेरी हिम्मत को , मेरे अज्म (will power ) को , इतना जवाँ कर दे !! मसाइब ( adversaries ) की है तपती धुप , झुलसा जा रहा हूँ मैं मेरे सर पे तू अपनी रहमतों   (blessings) का सायेबाँ ( shade/tent ) कर दे !! मेरी बिगड़ी   (troubles of life) बना दे , पार कर दे तू मेरा बेडा   (the boat of of life) चमन की तरह , मेरी ज़िन्दगी को शादमान (happy and care- free) कर दे ! मेरी जायज़ तमन्नाओं   (genuine desires) की अब तकमील (fulfillment) फरमा दे मुकम्मल   (complete) तू हमारी आरजुओं का जहाँ   कर दे !! -- Jawaid 'Saahir'

Dekha Hai Zindagi Ko Kuchh Itnaa Qareeb Se

[Here is a beautiful Ghazal by Sahir Ludhianvi which reflects a variety of concerns and feelings....] Dekhaa hai zindagii ko kuchh itnaa qareeb se Chehre tamaam lagne lage haiN ajeeb se Is rengti (crawling) hayaat (life) kaa kab tak uthaayeiN baar (weight)? Beemaar ab ulajhne lage haiN tabeeb (doctor/healer) se Har gaam (step) par hai majamaa (crowd) -e- ushshaaq (lovers; Plural of aashiq) muntazir (awaiting) Maqtal (place of execution) ki raah milti hai kuu-e-habeeb (lover’s street) se Is tarah zindagi ne diyaa hai hamaaraa saath jaise koi nibaah rahaa ho raqeeb (rival) se Ai rooh  (soul)  -e- asar   jaag, kahaaN so rahi hai tu? aawaaz de rahe haiN payambar (prophets) saleeb (cross) se -- Sahir Ludhianvi